اردو हिंदी
Marna mariz-e-ishq ke haq mein shifa hua | Shaahi Shayari
marna mariz-e-ishq ke haq mein shifa hua

Ghazal

Marna mariz-e-ishq ke haq mein shifa hua

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

;

marna mariz-e-ishq ke haq mein shifa hua
achchha hua najat mili kya bura hua

rah-e-adam ki manzil-e-awwal mein kya hua
jo aaya KHak Dal ke mujh par hawa hua

nashtar ko Dubne na diya ai rag-e-junun
kya us ka ek qatra-e-KHun mein bhala hua

jis dil ke dagh se hamein thi chashm-e-raushni
rahta hai wo to sham hi se KHud bujha hua

bas aisi chaarasazi se ai 'shauq' baz aae
jis se ki dard aur bhi dil mein siwa hua