markaz-e-harf takallum tha bayan tak na hua
ek tera zikr tha jo meri zaban tak na hua
shauq-e-parwaz mein par TuT gae tair ke
wo yaqin tha ki mere dil ko guman tak na hua
kya ajab turfa-tamasha hai teri basti mein
main ne ek umr guzari hai makan tak na hua
jis ke hone pe na hone ka guman hota hai
wahi guldasta-e-jaan sarf-e-KHizan tak na hua
main ne duniya teri taKHliq pe socha tha bahut
raaz-e-gum-gashta-e-mahbub ayan tak na hua
bas ki ab KHatm hua silsila-e-soz-o-gudaz
dil mera jal bhi gaya aur dhuan tak na hua
zindagi harf-e-fana ke liye tahrik 'qamar'
ruh baqi rahi aur koi ziyan tak na hua

Ghazal
Markaz-e-harf takallum tha bayan tak na hua
Qamar Abbas Qamar