mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo
udas chand sitaro koi to baat karo
kahan hai Dub chuka ab to Dubne wala
shikasta-dil se kinaro koi to baat karo
mere nasib ko barbaadiyon se nisbat hai
luTi hui si bahaaro koi to baat karo
kahan gaya wo tumhaara bulandiyon ka junun
bujhe bujhe se shararo koi to baat karo
isi tarah se ajab kya jo kuchh sukun mile
gham-e-firaq ke maro koi to baat karo
tumhaara gham bhi miTati hain mastiyan ki nahin
sharab-e-nab ke maro koi to baat karo
tumhaari KHak uData nahin 'shakeb' to kya
udas rah-guzaro koi to baat karo
Ghazal
Mariz-e-gham ke sahaaro koi to baat karo
Shakeb Jalali