marhale zist ke dushwar nahin diwano
मावरा-à¤-रसन-à¤-दार nahin diwano
kya karoge dil-e-pur-KHun ki hikayat sun kar
ye hadis-e-lab-o-ruKHsar nahin diwano
aaj kyun pand-gar-e-waqt ki taqriron mein
lazzat-e-shoKHi-e-guftar nahin diwano
KHaka-e-zehn pe ubhre to koi naqsh-e-jamil
band darwaza-e-inkar nahin diwano
kya karoge mah-o-anjum pe jama kar nazren
mehr-e-geti hi ziya-bar nahin diwano
pursish-e-haal mein ehsas-e-takalluf kaisa
koi saya pas-e-diwar nahin diwano
koi raushan to kare sham-e-shabistan-e-KHayal
munjamid chashma-e-anwar nahin diwano
Ghazal
Marhale zist ke dushwar nahin diwano
Manzar Ayubi