marhale aise bhi aksar aae
phul barsae to patthar aae
ek faqat aap ke ho jaane se
kitne ilzam mere sar aae
jam Thukra diye jab bhi main ne
samne mere samundar aae
ek chehre pe bashaarat na mili
an-ginat chehron ko paDh kar aae
bhul jate hain parinde man ko
jab bhi uDne ko zara par aae
aap ka shahr ki tha shahr-e-adab
be-adab is mein bhi kuchh dar aae
ishq mein 'taj' kashish ho aisi
KHud hi mahbub taDap kar aae
Ghazal
Marhale aise bhi aksar aae
Riyasat Ali Taj