اردو हिंदी
Marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage | Shaahi Shayari
marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage

Ghazal

Marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage

Abdul Mannan Tarzi

;

marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage
ek shoala hai koi barq-e-tapan se aage

apni hairat ka to hai ilm yaqin se pahle
tu bata mujh ko hai kya mere guman se aage

han mera shauq-laqa teri inayat hi sahi
kya mila mujh ko magar ijz-e-bayan se aage

kyun bana Dala ise meri nigahon ka ghurur
tera jalwa hai agar husn-e-butan se aage

apni KHalwat se kabhi tu bhi na bahar jhanka
mujh ko jaane na diya mere makan se aage

kuchh nahin is ke siwa apni nigahon ki bisat
kuchh dikhai na diya sud-o-ziyan se aage

fahm-o-idrak pe bhi mere hai pahra tera
aur tu sare makan sare zaman se aage

imtihan KHatm nahin hota isi par 'tarzi'
ju-e-KHun lani hai ek ashk-e-rawan se aage