marg-e-aghyar lab pe la na saka
wo qasam hun jo yar kha na saka
is qadar zoaf tha ki tera naz
thi tamanna magar uTha na saka
mar ke ThanDa kahin na ho jae
is liye wo mujhe jila na saka
buKHl dekho to meri turbat par
ek aansu bhi wo gira na saka
uTh na jae raqib mahfil se
mujh ko pahlu mein wo biTha na saka
tha jo ashk-e-aziz KHatir mein
dida-e-tar mujhe baha na saka
husn tera wo mah-e-taban tha
abr-e-gesu jise chhupa na saka
dar-e-fani maqam-e-laghzish hai
koi apna qadam jama na saka
na mila koi waqt-e-tanhai
haal-e-dil yar ko suna na saka
jaanta tha paDe rahenge wahin
is liye yar ghar bata na saka
na mana laD ke wo bahut chaha
aise bigDe ki phir bana na saka
dekh kar bad-dimaghiyan un ki
nama-bar KHat mera paDha na saka
kis tarah arz-e-muddaa karta
ghair ko pas se haTa na saka
aarzu-mand rah gaya majnun
mere aage farogh pa na saka
kina shauq-e-raqib tha ai dost
ki tabiat se teri ja na saka
kya nadamat hui hai qatil se
naz-e-KHanjar gulu uTha na saka
KHauf tha ghash unhen na aa jae
main shigaf-e-jigar dikha na saka
na-tawan tha 'nasim' is darja
ki wo zanjir-e-pa hila na saka
Ghazal
Marg-e-aghyar lab pe la na saka
Naseem Dehlvi