اردو हिंदी
Mar rahte hain dar par tere do-chaar hamesha | Shaahi Shayari
mar rahte hain dar par tere do-chaar hamesha

Ghazal

Mar rahte hain dar par tere do-chaar hamesha

Joshish Azimabadi

;

mar rahte hain dar par tere do-chaar hamesha
hai jaur-o-jafa tujh ko saza-war hamesha

aashiq tera marne ko hai tayyar hamesha
dikhla na mizha KHanjar-e-KHun-KHar hamesha

ek chheD nikale hai nai yar hamesha
rahta hai mere dar-pae-azar hamesha

allah salamat rakhe tere lab-e-shirin
sunwaya kare baaten mazedar hamesha

hai Dar se tere aalam-e-baala tah-o-baala
laTke hai teri arsh pe talwar hamesha

jun halqa-e-dar dar pe tere subh se ta-subh
rahta hai tera talib-e-didar hamesha

izhaar karun jis se main ahwal ko apne
ahwal-e-tabah us ka rahe yar hamesha