mar-miTe jab se hum us dushman-e-din par sahab
panw Tikte hi nahin apne zamin par sahab
KHush-gumani ka ye aalam hai ki har baat ke bich
han ka dhoka ho hamein us ki nahin par sahab
taKHt yaron ko hai gham shah ki mazuli ka
aur fida bhi hain nae taKHt-nashin par sahab
hum to ek sanwli surat hai jise chahte hain
aap mar jaen kisi mah-jabin par sahab
husn rangon ke tasadum se jila pata hai
jaise ek KHal kisi ru-e-hasin par sahab
hum wo majruh-e-ziyarat ki sar-e-mahfil bhi
aankh rakhte hain usi parda-nashin par sahab
Ghazal
Mar-miTe jab se hum us dushman-e-din par sahab
Husain Majrooh