mar kar tere KHayal ko Tale hue to hain
hum jaan de ke dil ko sambhaale hue to hain
be-zar ho na jae kahin zindagi se dil
tasir se KHafa mere nale hue to hain
riste hain ab ke sal ki bahte hain dekhiye
phir fasl-e-gul mein zaKHm-e-dil aale hue to hain
arman jo yun nahin to nikalte hain kis tarah
yani hamare dil se nikale hue to hain
han dard-e-ishq un pe karam ki nazar rahe
sabr o qarar tere hawale hue to hain
ye sohbaten bhi dekhiye lati hain rang kya
mehman KHar panw ke chhaale hue to hain
kya jaaniye ki hashr ho kya subh-e-hashr ka
bedar tere dekhne wale hue to hain
'fani' tere amal hama-tan jabr hi sahi
sanche mein iKHtiyar ke Dhaale hue to hain
Ghazal
Mar kar tere KHayal ko Tale hue to hain
Fani Badayuni