mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi
yani wo iztirab ki surat nahin rahi
har lamha-e-hayat raha waqf kar-e-shauq
marne ki umr bhar mujhe fursat nahin rahi
ek nala-e-KHamosh musalsal hai aur hum
yaadash-ba-KHair zabt ki taqat nahin rahi
wo ahd-e-dil-farebi-e-tasir ab kahan
muddat se aah aah ki hasrat nahin rahi
dil aur hawa-e-silsila-e-jambani-e-nashat
kyun pas-e-waz-e-gham tujhe ghairat nahin rahi
har be-gunah se wada-e-baKHshish hai roz-e-hashr
goya gunah ki bhi zarurat nahin rahi
ai arz-e-shauq muzhda ki dil chaak ho gaya
taklif parda-dari-e-hasrat nahin rahi
pathra gai thi aankh magar band to na thi
ab ye bhi intizar ki surat nahin rahi
ibrat ne bekasi ka nishan bhi miTa diya
uDti thi jis pe KHak wo turbat nahin rahi
mahshar mein bhi wo ahd-e-wafa se mukar gae
jis ki KHushi thi ab wo qayamat nahin rahi
kis munh se gham ke zabt ka dawa kare koi
taqat ba-qadr-e-hasrat-e-rahat nahin rahi
'fani' ummid-e-marg ne bhi de diya jawab
jine ki hijr mein koi surat nahin rahi
Ghazal
Mar kar mariz-e-gham ki wo haalat nahin rahi
Fani Badayuni