اردو हिंदी
Mar kar bhi chhuTti nahin akasr lagi hui | Shaahi Shayari
mar kar bhi chhuTti nahin akasr lagi hui

Ghazal

Mar kar bhi chhuTti nahin akasr lagi hui

Mazaq Badayuni

;

mar kar bhi chhuTti nahin akasr lagi hui
hoti bahut bari hai muqarrar lagi hui

is shola-ru ko lag hai har dil se kya bujhe
hai sab gharon mein aag barabar lagi hui

dil ki KHabar jo aati hai har dam zaban par
rahti hai dam ki Dak barabar lagi hui

soz-e-darun ne phunk diya jism o jaan o dil
ek aag hai kaleja ke andar lagi hui

bhule hain zauq-e-mai se 'mazaq' apni jaan to kya
dil se hai yaad-e-saqi-e-kausar lagi hui