mar kar are waiz koi zinda nahin hota
wo hashr maze ka hai jo barpa nahin hota
but toDne se but-kada kaba nahin hota
pahle kabhi hota ho ab aisa nahin hota
sab hashr mein hain aaj hamin zer-e-lahad hain
kya jaaniye kyun hashr hamara nahin hota
hoti hai jo shishe mein to hoti nahin kuchh fikr
thoDi si bhi ho to gham-e-farda nahin hota
Thukraate nahin pa-e-hinai se wo sar ko
raushan kabhi qismat ka sitara nahin hota
sun lete hain chupke se moazzin ki hum ai shaiKH
jab hath mein naqus-e-kalisa nahin hota
aane ko to aati hain junun-KHez bahaaren
kya jaaniye ab kyun hamein sauda nahin hota
maiKHane mein kyun yaad-e-KHuda hoti hai aksar
masjid mein to zikr-e-mai-o-mina nahin hota
allah dikhae na bura waqt kisi ko
koi bhi zamane mein kisi ka nahin hota
Thukraate hue Darte ho kyun meri lahad ko
Thokar se tumhaari koi zinda nahin hota
aaqa se 'riyaz' aap to kahte nahin kuchh bhi
auron se gila kaam hamara nahin hota
Ghazal
Mar kar are waiz koi zinda nahin hota
Riyaz Khairabadi