mar gae par bhi na ho bojh kisi par apna
ruh ke sath hua ho tan-e-laghar apna
be-tarah dil mein bhara rahta hai zulfon ka dhuan
dam nikal jae kisi rose na ghuT kar apna
yar sota nahin munh kar ke hamari jaanib
kabhi karwaT nahin leta hai muqaddar apna
tum jo do phul chaDhao to KHushi ke mare
qabr khul jae ye phule tan-e-laghar apna
intizam aap ki sarkar mein yun lazim hai
band-o-bast aap ka ghar mein rahe bahar apna
hur bhi tum ho nigahon mein pari bhi tum ho
ab to ai jaan dil aaya hai tumhin par apna
nur barsati hai zulfon ki ghaTa chehre par
panw us kuche mein phislega muqarrar apna
nind furqat mein kahan maut se aane wali
ghar se behtar hai jo takiye mein ho bistar apna
KHana-barbaad kya ishq ne tifli se hamein
ki miTa baiThi gharaunde ki tarah ghar apna
ab na kuchh bolte banti hai na chup rahte hamein
na dil apna nazar aata hai na dilbar apna
wada-e-wasl agar aaj bhi pura na hua
ye samajh lijiye wada hai barabar apna
KHub-ru kuchh bhi agar banda-nawazi farmaen
maldaron ko karen banda-e-be-zar apna
be gala kaTe hue raat nahin kaTne ki
sadqa abru ka diye jaiye KHanjar apna
Dor hain silk-e-guhar par kahen ashaar ai 'bahr'
qadr-dan ho to sunaen use jauhar apna
Ghazal
Mar gae par bhi na ho bojh kisi par apna
Imdad Ali Bahr