اردو हिंदी
Maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya | Shaahi Shayari
maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya

Ghazal

Maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya

Nazir Siddiqi

;

maqtal se mera kasa-e-sar kaun le gaya
us tak ye dil-KHarash KHabar kaun le gaya

chehre pe gard-e-rah bhi baqi nahin rahi
mujh se mera subut-e-safar kaun le gaya

ras aa chali thi dil ki faza-e-junun-e-shauq
bahka ke mujh ko dasht se ghar kaun le gaya

be-laus dosti ke zamane kahan gae
sarmaya-e-KHulus-e-bashar kaun le gaya

ye dekhne ki koi zarurat nahin rahi
kis ka hunar tha dad-e-hunar kaun le gaya

ghar se nikal paDe hain to ab kya ye dekhna
raste se saya-dar shajar kaun le gaya

dariya wahi hai us ki rawani wahi magar
ru-posh tha jo tah mein guhar kaun le gaya

aamal apne dekh ke ye tajziya bhi kar
'nazir' teri dua se asar kaun le gaya