maqtal ke is sukut pe hairat hai kya kahen 
aisi faza to ho ki jise karbala kahen 
ye karwan-e-umr ye sahra ye KHamushi 
aati hai sharm KHud pe bas ab aur kya kahen 
logon ne KHamushi ki zaban sikh li to phir 
kya kar sakenge qatil-e-nutq-o-sada kahen 
wo zarb thi ki nutq ki zanjir khul gai 
kya aur mehrbani-e-dast-e-jafa kahen
        Ghazal
Maqtal ke is sukut pe hairat hai kya kahen
Iftikhar Aazmi

