maqtal-e-duKHtar-e-kam-nasl se uThta tha dhuan
madfan-e-zauja-e-wali mein baDi barf paDi
main ne Dala jo koi wasta angaron ko
yar kal raat angeThi mein baDi barf paDi
band kamre mein meri aankh ne sapne senke
sahn dalan mein khiDki mein baDi barf paDi
os paDti rahi mujh par mere armanon par
aur aghyar ki basti mein baDi barf paDi

Ghazal
Maqtal-e-duKHtar-e-kam-nasl se uThta tha dhuan
Nilofar Afzal