اردو हिंदी
Maqam-e-hijr kahin imtihan se Khaali hai | Shaahi Shayari
maqam-e-hijr kahin imtihan se Khaali hai

Ghazal

Maqam-e-hijr kahin imtihan se Khaali hai

Ahmed Nisar

;

maqam-e-hijr kahin imtihan se KHali hai
kahin zamin bhi kisi aasman se KHali hai

nashat-e-gham mein to dard-e-nihan talash na kar
nashat-e-gham kabhi dard-e-nihan se KHali hai

uruj-e-gham mere soz-e-jigar se aa puchha
maqam-e-dil kahin soz-e-nihan se KHali hai

KHayal us ka main shayad samajh nahin paya
mera KHayal to ishq-e-butan se KHali hai

ek aisi baat hi taskin-e-qalb baKHshe hai
'nisar' dil mera wahm-o-guman se KHali hai