maqam-e-amn qafas kya ki aashiyan bhi nahin
sukun wahan bhi nahin tha sukun yahan bhi nahin
mera kalam payam-e-amal na ho lekin
tamam-tar nigah-o-dil ki dastan bhi nahin
meri nigah mein manzil hai aam insan ki
maqam-e-dar nahin bazm-e-mah-ruKHan bhi nahin
ye bar shiddat-e-ehsas ka hai nadanon
garan hai zist magar is qadar garan bhi nahin
hai naqsh-e-KHun-e-jigar se har ek fan ko sabaat
jo ye nahin to koi naqsh-e-jawedan bhi nahin
Ghazal
Maqam-e-amn qafas kya ki aashiyan bhi nahin
Maqbool Naqsh