اردو हिंदी
Manzur lahu ki bund koi ab tak na meri bekar giri | Shaahi Shayari
manzur lahu ki bund koi ab tak na meri bekar giri

Ghazal

Manzur lahu ki bund koi ab tak na meri bekar giri

Malikzada Manzoor Ahmad

;

'manzur' lahu ki bund koi ab tak na meri bekar giri
ya rang-e-hina ban kar chamki ya pesh-e-sailb-o-dar giri

auron pe na jaane kya guzri is tegh-o-tabar ke mausam mein
hum sar to bacha lae lekin dastar sar-e-bazar giri

jo tir andhere se the chale wo sarhad-e-jaan ko chhu na sake
chalta tha main jis ke sae mein gardan pe wahi talwar giri

kya jaaniye kaisi thi wo hawa chaunka na shajar patta na hila
baiTha tha main jis ke sae mein 'manzur' wahi diwar giri