اردو हिंदी
Manzur hai napna kamar ka | Shaahi Shayari
manzur hai napna kamar ka

Ghazal

Manzur hai napna kamar ka

Naseem Dehlvi

;

manzur hai napna kamar ka
paimana banaiye nazar ka

tha sham se daghdagha sahar ka
dhaDka hi laga raha gajar ka

sine mein se kuchh aai aawaz
phuTa koi aabla jigar ka

aansu puchhenge kab tak ahbab
Tapka na rukega chashm-e-tar ka

dil hi to hai kya ajab bahal jae
kuchh zikr karo idhar-udhar ka

kyun zulf daraaz kholte ho
kya KHauf tumhein nahin kamar ka

kuchh be-adabi hui muqarrar
sina bedha gaya ghar ka

tanha nahin gosha-e-qafas bhi
jhagDa hai sath baal-o-par ka

muhtaj-e-kafan nahin hai bulbul
parda kafi hai baal-o-par ka

rahte nahin ek dam kisi ja
batlaen nishan-e-KHak ghar ka

kya kya hum ne na KHak uDai
paya na ghubar tere dar ka

ho aap ke kan tak rasai
allah ye martaba ghar ka

ai dil kunj-e-mazar dekha
pahla ye maqam hai safar ka

yaqut kahan mere dhun mein
TukDa hoga koi jigar ka

ruKHsat ruKHsat jo kah rahe ho
ai jaan-e-KHayal hai kidhar ka

jab tak hai kuchh hayat baqi
rasta dekhenge nama-bar ka

aankhon mein KHayal aur hi hai
jalwa kiya dekhiye qamar ka

aaram kahan nasib hum ko
khaTka darpesh hai safar ka

pahunche mere hath tak to fassad
munh lal karunga neshtar ka

dauDe lene qadam ajal ke
dhoka hua yar ki KHabar ka

Thahro lasha uThe to jaana
jhagDa hai aur do pahar ka

kyun aae 'nasim' nind hum ko
sar rakh ke zamin pe yar sarka