manzilon se bhi aage nikalta hua
gir paDa main bahut tez chalta hua
meri miTTi bhi us din se gardish mein hai
chaak tera hai jis din se chalta hua
dhup ke hath achanak hi shal ho gae
ho gaya munjamid main pighalta hua
muntazir thi usi ki samaat meri
tere honTon pe jo hai machalta hua
dhup dariya mein khulta hai ye rasta
sabz peDon ke hamrah chalta hua
dil ki wadi mein phir dhund utarti hui
mere andar ka mausam badalta hua

Ghazal
Manzilon se bhi aage nikalta hua
Vikas Sharma Raaz