manzilon se begana aaj bhi safar mera
raat be-sahar meri dard be-asar mera
gumrahi ka aalam hai kis ko ham-safar kahiye
thak ke chhoD baiThi hai sath rahguzar mera
wo farogh-e-KHalwat bhi anjuman-sarapa bhi
bhar gaya hai phulon se daman-e-nazar mera
ab tere taghaful se aur kya talab kije
shauq-e-na-rasa mera ishq-e-mo'atabar mera
daur-e-kam-ayari hai kuchh pata nahin chalta
kaun mera qatil hai kaun chaara-gar mera
na-guzir hasti hain fasl-e-gul ke hangame
shozish-e-numu teri fitna-e-sharar mera
kuchh batao to aaKHir kya jawab dun us ko
ek sawal karta hai rose mujh se ghar mera
aasman ka shikwa kya waqt ki shikayat kyun
KHun-e-dil se nikhra hai aur bhi hunar mera
dil ki be-qarari ne hosh kho diye 'taban'
warna aastanon par kab jhuka tha sar mera

Ghazal
Manzilon se begana aaj bhi safar mera
Taban Ghulam Rabbani