manzilen lakh kaThin aaen guzar jaunga
hausla haar ke baiThunga to mar jaunga
chal rahe the jo mere sath kahan hain wo log
jo ye kahte the ki raste mein bikhar jaunga
dar-ba-dar hone se pahle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe ras na aaya to kidhar jaunga
yaad rakkhe mujhe duniya teri taswir ke sath
rang aise teri taswir mein bhar jaunga
lakh roken ye andhere mera rasta lekin
main jidhar raushni jaegi udhar jaunga
ras aai na mohabbat mujhe warna 'saqi'
main ne socha tha ki har dil mein utar jaunga
Ghazal
Manzilen lakh kaThin aaen guzar jaunga
Saqi Amrohvi