manzilen aur bhi hain wahm-o-guman se aage
hum ko karna hai safar qaid-e-makan se aage
paikar-e-sher ko malbus ata kya kije
jab taKHayyul ki ho parwaz bayan se aage
aab aur KHak ki ye bazm hamein kya ras aati
hum ko jaana tha sitaron ke jahan se aage
kab talak dair-o-haram ki ye hadis-e-be-sud
masale aur hain naqus-o-azan se aage
justuju aur hai kuchh ahl-e-junun ki warna
kaun karta hai safar ja-e-aman se aage
karb ko apne tamasha na banaya jae
hai adab-gah-e-wafa aah-o-fughan se aage
nazr-e-andesha na ho jae kahin zist 'obaid'
baat kuchh aur karen sud-o-ziyan se aage
Ghazal
Manzilen aur bhi hain wahm-o-guman se aage
Obaidur Rahman