manzil safar-e-ishq ki zinhaar na TuTe
jab tak kamar-e-qafila-e-salar na TuTe
is pand se dil naseh-e-din-dar na TuTe
but toDne mein kabe ki diwar na TuTe
be-fikr rahe banda-e-naqab-e-ruKH-e-jaanan
hum se kabhi qufl-e-dar-e-gulzar na TuTe
jab tak na gawara ho tujhe naza ki talKHi
parhez tera ai dil-e-bimar na TuTe
har rose ho jab saikDon ushshaq ka chaurang
ai shoKH kahan tak teri talwar na TuTe
sar paTkun jo diwar se kahta hai wo zalim
bas bas mere ghar ki kahin diwar na TuTe
beja hai teri garmi-e-bazar ka shikwa
kyun jins nai pa ke KHaridar na TuTe
qismat mein ho go manzil-e-maqsad ka pahunchna
par aabla-e-pa mein sar-e-KHar na TuTe
aasan hai 'shahidi' ki agar dil-shikani ho
par shart ye hai KHatir-e-aghyar na TuTe
Ghazal
Manzil safar-e-ishq ki zinhaar na TuTe
Karamat Ali Shaheedi