اردو हिंदी
Manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte | Shaahi Shayari
manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte

Ghazal

Manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte

Nawaz Deobandi

;

manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte
do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte

ek hum hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna
ek tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte

kam-himmati KHatra hai samundar ke safar mein
tufan ko hum dosto KHatra nahin kahte

ban jae agar baat to sab kahte hain kya kya
aur baat bigaD jae to kya kya nahin kahte