اردو हिंदी
Manzil pe dhyan humne zara bhi agar diya | Shaahi Shayari
manzil pe dhyan humne zara bhi agar diya

Ghazal

Manzil pe dhyan humne zara bhi agar diya

Aalok Shrivastav

;

manzil pe dhyan hum ne zara bhi agar diya
aakash ne Dagar ko ujalon se bhar diya

rukne ki bhul haar ka karan na ban saki
chalne ki dhun ne rah ko aasan kar diya

pani ke bulbulon ka safar jaante hue
tohfe mein dil na dena tha hum ne magar diya

pipal ki chhanw bujh gai talab saD gae
kis ne ye mere ganw pe ehsan kar diya

ghar khet gae bail raqam ab kahan rahe
jo kuchh tha sab nikal ke faslon mein bhar diya

manDi ne luT lin jawan-faslen kisan ki
qarze ne KHud-kushi ki taraf dhyan kar diya