اردو हिंदी
Manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha | Shaahi Shayari
manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha

Ghazal

Manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

;

manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha
hote hue aisa to kabhi han nahin dekha

ghair aae gae phul chune bu bhi uDai
hum aise ki apna hi gulistan nahin dekha

daman bhi salamat hai gareban bhi salamat
ai josh-e-junun tujh ko numayan nahin dekha

hain tere tasallut mein fazaen bhi zamin bhi
tujh mein hi magar zauq-e-sulaiman nahin dekha

hai chashm-e-tasawwur bhi ye darmanda-o-ajiz
tujh ko kabhi ai jalwa-e-pinhan nahin dekha

ehsas-e-ziyan wae ki hai ru-ba-tanazzul
kal tha jo use aaj pasheman nahin dekha

kitne hi suKHan-war-o-suKHan-dan 'nazar' aise
jin ko kabhi mahfil mein ghazal-KHwan nahin dekha