manzil ke dur dur tak aasar tak bhi nahin
main rah mein Thaharne ko tayyar bhi nahin
haalat kah rahe hain ki is daur-e-nau ke log
soe hue nahin hain to bedar bhi nahin
mujh ko agar paDha to bhula paega na wo
main har nazar mein subh ka aKHbar bhi nahin
jo dusron ke ghar mein ujala na kar sake
main aisi raushni ka talabgar bhi nahin
'nazir' mata-e-dil ye kahan le ke aa gae
pahli si ab wo garmi-e-bazar bhi nahin
Ghazal
Manzil ke dur dur tak aasar tak bhi nahin
Nazir Siddiqi