اردو हिंदी
Manzil kahan hai dur talak raste hain yar | Shaahi Shayari
manzil kahan hai dur talak raste hain yar

Ghazal

Manzil kahan hai dur talak raste hain yar

Hamid Iqbal Siddiqui

;

manzil kahan hai dur talak raste hain yar
kis justuju mein KHwab ke ye qafile hain yar

pal pal badalta rahta hai tahzib ka mizaj
lamhon ki dastaras mein ajab silsile hain yar

hai sabiqa hazar marahil se aur phir
is zindagi ke baad bhi kuchh marhale hain yar

tu hi bata tujhe main rakhun kis shumar mein
achchhe bure sabhi se mere rabte hain yar

han tujh se bewafai ki ummid to nahin
par sach kahun to dil mein kai wahime hain yar

KHwahish ka ehtiram hai jazbon ki aanch bhi
nindon ka ehtimam hai aur rat-jage hain yar

nazmen kahan hain falsafe manzum hain tamam
ghazlen kahan hain ishq ke sab marsiye hain yar

ahbab rishte-dar sabhi mumbai mein hain
lekin dilon ke bich baDe fasle hain yar