اردو हिंदी
Manzil hai ki ek rasta-e-dushwar mein gum hai | Shaahi Shayari
manzil hai ki ek rasta-e-dushwar mein gum hai

Ghazal

Manzil hai ki ek rasta-e-dushwar mein gum hai

Naeem Zarrar Ahmad

;

manzil hai ki ek rasta-e-dushwar mein gum hai
rasta hai ki pech-o-KHam-e-dildar mein gum hai

jis din se milta tha KHuda KHana-e-dil mein
mulla ke sajae hue bazar mein gum hai

ajza-e-safar warta-e-hairat mein paDe hain
raftar abhi sahib-e-raftar mein gum hai

sail hain ki umDe hi chale aate hain paiham
wo shoKH magar apne hi didar mein gum hai

wo husn-e-yagana hai koi shahr-e-tilismat
har shaKHs jahan raston ke asrar mein gum hai

ashKHas ke jangal mein khaDa soch raha hun
ek naKHl-e-tamanna inhi ashjar mein gum hai

ya husn hai na-waqif-e-pindar-e-mohabbat
ya ishq hi aasani-e-atwar mein gum hai

ai kash samajhta koi pas-manzar-e-paigham
duniya hai ki pairaya-e-izhaar mein gum hai