اردو हिंदी
Manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye | Shaahi Shayari
manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye

Ghazal

Manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye

Ashok Sawhny

;

manzil-e-sidq-o-safa ka rasta apnaiye
karwan-e-zindagi ke rahnuma ban jaiye

hum ne mana har taraf tira-shabi ka raj hai
aap suraj hain agar tu raushni phailaiye

aaina patthar se Takrana zaruri to nahin
baat jab hai aaine se aaina Takraiye

aap ko tira-shabi se is qadar kyun KHauf hai
ho sake to ek jugnu hi muqabil laiye

ye to sach hai zindagi zinda-dili ka nam hai
zindagi ke nam par itna bhi mat itraiye

gar yun hi karta raha mujh ko zamana paemal
aap ko sab kya kahenge ghaur to farmaiye

ye bhi ek sasta sa andaz-e-siyasat hai 'ashok'
kuchh na kije baiTh kar bas tabsire farmaiye