manzil-e-shams-o-qamar se guzre
jab teri rahguzar se guzre
shab ki gati hui tanhai mein
kitne tufan the jo sar se guzre
wahin patjhaD ne paDaw Dala
qafile gul ke jidhar se guzre
har taraf sabt hain qadmon ke nishan
koi kis rahguzar se guzre
kis qadar KHud pe hamein pyar aaya
aaj jab apni nazar se guzre
surKHi-e-gul se bhi chaunke gul-ruKH
wo zamane bhi nazar se guzre
dasht-o-sahra ka bhi daman simTa
tere diwane jidhar se guzre
KHud-nigar ho gae 'rahat' hum bhi
aaj wo kash idhar se guzre
Ghazal
Manzil-e-shams-o-qamar se guzre
Ameen Rahat Chugtai