اردو हिंदी
Manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai | Shaahi Shayari
manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai

Ghazal

Manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai

Akram Mahmud

;

manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai
aankh kya kholin ki ta-hadd-e-nazar pani hai

aaina hai to koi aks kahan hai is mein
kyun baha kar nahin le jata agar pani hai

ek KHwahish ki jo sahra-e-badan se nikli
khinchti hai usi jaanib ko jidhar pani hai

panw uThte hain kisi mauj ki jaanib lekin
rok leta hai kinara ki Thahar pani hai

ab bhi baadal to barasta hai par us par kahin
kisht-e-be-ab idhar aur idhar pani hai

khinchta hai koi sayyara tere pyason ko
us ilaqe mein jahan KHak-basar pani hai

chashm-e-nam aur dil labrez bahut hain mujh ko
KHitta-e-KHak hai aur zad-e-safar pani hai