manzil-e-ishq ke rahbar kho gae
mere hamdam mere ham-safar kho gae
inqilab-e-zamana ne karwaT jo li
zikr ek do ka kya ghar ke ghar kho gae
ho gai KHatm rasm-e-mulaqat bhi
wo nazare wo sham-o-sahar kho gae
hum ne har gam par sath chaha magar
qafile har nae moD par kho gae
main jo daman mein laya tha aansu tere
dagh hain un ke lal-o-gohar kho gae
baat ye raaz ki hai ki sab rah-rau
rafta rafta har ek moD par kho gae
jab mukammal hui shams ki dastan
maslahat hai ki ahl-e-nazar kho gae
Ghazal
Manzil-e-ishq ke rahbar kho gae
Shams Farrukhabadi