manzil-e-dil mili kahan KHatm-e-safar ke baad bhi
rahguzar ek aur thi rahguzar ke baad bhi
aaj tere sawal par phir mere lab KHamosh hain
aisi hi kashmakash thi kuchh pahli nazar ke baad bhi
dil mein the lakh waswase jalwa-e-aftab tak
rah gai thi jo tirgi nur-e-sahar ke baad bhi
naseh-e-maslahat-nawaz tujh ko bataun kya ye raaz
hausla-e-nigah hai KHun-e-jigar ke baad bhi
haar ke bhi nahin miTi dil se KHalish hayat ki
kitne nizam miT gae jashn-e-zafar ke baad bhi
koi mera hi aashiyan hasil-e-fasl-e-gul na tha
han ye bahaar hai bahaar raqs-e-sharar ke baad bhi
ek tumhaari yaad ne lakh diye jalae hain
aamad-e-shab ke qabl bhi KHatm-e-sahar ke baad bhi
Ghazal
Manzil-e-dil mili kahan KHatm-e-safar ke baad bhi
Ali Jawwad Zaidi