manzil-e-be-jahat ki KHair sai-e-safar hai raegan
ahl-e-wafa ke qafile phir bhi to hain rawan dawan
zahr hai mere jam mein honTon pe aa gai hai jaan
phir bhi mujhe hayat par tere karam ka hai guman
dahr pe main khula nahin mujh ko KHuda mila nahin
aap hi apna raaz hun aap hi apna raaz-dan
husn ko chhu ke dekhna aag tha mom ke liye
ruh pighal ke rah gai aql hui dhuan dhuan
wo bhi to hain ki zindagi jin ke liye hai angbin
zaiqa-e-hayat se ainTh gai meri zaban
gosh-e-gul-bahaar mein kis ne kaha hai harf-e-shauq
kaun hai mera tarjuman kis ko mili meri zaban
Ghazal
Manzil-e-be-jahat ki KHair sai-e-safar hai raegan
Saleem Ahmed