manzil bhi milegi raste mein tum rahguzar ki baat karo
aaghaz-e-safar se pahle kyun anjam-e-safar ki baat karo
zalim ne liya hai sharma kar phir gosha-e-daman chuTki mein
hai waqt ki tum bebaki se ab dida-e-tar ki baat karo
aaya hai chaman mein mausam-e-gul aai hain hawaen zindan tak
diwar ki baaten ho lengi is waqt to dar ki baat karo
hai tez hawa hilta hai qafas KHatre mein paDi hai har tili
fariyaad-e-asiri band karo ab jumbish-e-par ki baat karo
kyun dar-o-rasan ke sae mein mansur ki baaten karte ho
rakhna hai jo uncha sar apna to apne hi sar ki baat karo
kyun ahl-e-junun arbab-e-KHirad ki mahfil mein KHamosh rahen
wo apne hunar ki baat karen tum apne hunar ki baat karo
kya barbat-o-daf dam toD chuke maut aa gai kya har naghme ko
tum mutrib-e-jam-o-mina ho kyun tegh o sipar ki baat karo
Ghazal
Manzil bhi milegi raste mein tum rahguzar ki baat karo
Parvez Shahidi