manzar tha rakh aur tabiat udas thi
har-chand teri yaad mere aas pas thi
milon thi ek jhulasti hui dopahar ki qash
sine mein band sainkaDon sadiyon ki pyas thi
uTThe naha ke shoalon mein apne to ye khula
sare jahan mein phaili hui teri bas thi
kaise kahun ki main ne kahan ka safar kiya
aakash be-charagh zamin be-libas thi
ab dhul mein aTi hui rahon pe hai safar
wo din gae ki panw-tale narm ghas thi
Ghazal
Manzar tha rakh aur tabiat udas thi
Wazir Agha