اردو हिंदी
Manzar se kabhi dil ke wo haTta hi nahin hai | Shaahi Shayari
manzar se kabhi dil ke wo haTta hi nahin hai

Ghazal

Manzar se kabhi dil ke wo haTta hi nahin hai

Shabnam Shakeel

;

manzar se kabhi dil ke wo haTta hi nahin hai
ek shahr jo baste hue dekha hi nahin hai

kuchh manzilen ab apna pata bhi nahin detin
aur rasta aisa hai ki kaTta hi nahin hai

ek naqsh ki ban ban ke bigaDta hi raha hai
ek KHwab ki pura kabhi hota hi nahin hai

kya hum pe guzarti hai tumhein kaise bataen
tum ne to palaT kar kabhi puchha hi nahin hai

ek umr ganwai hai to phir dil ko mila hai
wo dard ki jis ka koi chaara hi nahin hai

ye ishq ki wadi hai zara soch samajh lo
is rah pe panw koi dharta hi nahin hai

DhunDe se KHuda milta hai insan hai wo to
tum ne use 'shabnam' kabhi DhunDa hi nahin hai