manzar sameT lae hain jo tere ganw ke
ninden chura rahe hain wo jhonke hawaon ke
teri gali se chand ziyaada hasin nahin
kahte sune gae hain musafir KHalaon ke
pal bhar ko teri yaad mein dhaDka tha dil mera
ab dur tak bhanwar se paDe hain sadaon ke
dad-e-safar mili hai kise rah-e-shauq mein
hum ne miTa diye hain nishan apne panw ke
jab tak na koi aas thi ye pyas bhi na thi
bechain kar gae hamein sae ghaTaon ke
hum ne liya hai jab bhi kisi rahzan ka nam
chehre utar utar gae kuchh rahnumaon ke
uglega aaftab kuchh aisi bala ki dhup
rah jaenge zamin pe kuchh dagh chhanw ke
Ghazal
Manzar sameT lae hain jo tere ganw ke
Qateel Shifai