manzar meri aankhon mein rahe dasht-e-safar ke
kuchh ret ke Tile dar-o-diwar hain ghar ke
lahron pe mere panw jame hain ki safar mein
hai shart Thaharna ki zamin panw se sar ke
ta-umr rahe jis ke liye zarra-e-na-chiz
dekhe wo kabhi kash bulandi se utar ke
pani ke kai rang dhanak mein hain ki tu hai
taswir mein aai hai teri shakl nikhar ke
dariya ki tarah arsa-e-gul mein hai rawan kya
baadal ki tarah dekh hawaon mein Thahar ke
patte the kabhi sarsar-e-tufan mein TuTe
tair hain ki uD jaen meri chap se Dar ke
Dube hain wo yun sab ke samundar mein ki gham hain
suraj ki chamak aankh mein lae the jo bhar ke
hasrat hai ki dekhun main ubharta hua suraj
kis kohar mein Dube hain dar-o-baam sahar ke
Ghazal
Manzar meri aankhon mein rahe dasht-e-safar ke
Saleem Shahid