manzar ki diwar ke pichhe ek manzar
kali chadar se munh Dhanpe ek manzar
main jaise hi ek manzar taKHliq karun
aa kar fauran us ko kaTe ek manzar
chehra paDhna chahun to ojhal ho jae
dur khaDa phir hath hilae ek manzar
ek manzar chaqu se gude jism mera
phir aa kar zaKHmon ko chaTe ek manzar
ek manzar mein sanp gale se aa lipTe
phir rag rag mein zahr utare ek manzar
bich bhanwar suraKHon wali ek kashti
mujhe meri pahchan karae ek manzar
kab tak aankhen nichi kar ke guzroge
aate jate rah mein Toke ek manzar
dharti aur aakash pareshan donon hain
ek sa aalam upar niche ek manzar
ho sakta hai ek manzar ka ho jaun
aa kar aankhon mein chubh jae ek manzar
Ghazal
Manzar ki diwar ke pichhe ek manzar
Khurshid Talab