اردو हिंदी
Manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha | Shaahi Shayari
manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha

Ghazal

Manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha

Manzoor Arif

;

manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha
us ki qaba ki tarah wo baadal mahin tha

hairan hai mujh ko dekh ke kyun TuTta daraKHt
main ug raha hun ab ki main zer-e-zamin tha

ab khul gaya hai mujh se to had se guzar gaya
warna wo dekhne mein to behad matin tha

main hosh-mand rah ke bhi nadan hi raha
jazbaat mein wo bah ke bhi kitna zahin tha

tujh ko raha na apne zar-e-gham ka e'timad
warna ye dil to dard-e-jahan ka amin tha

'arif' zaban us ki na deti thi dil ka sath
inkar kar ke aaega mujh ko yaqin tha