manzar hai abhi dur zara hadd-e-nazar se
saughat-e-safar aur hai asbab-e-safar se
tum mere taaqub ka tasawwur bhi na karna
puchho meri manzil mere TuTe hue par se
main shar ki shararat se to hoshyar hun lekin
allah bachae to bachun KHair ke shar se
barish ne meri TuTi hui chhat nahin dekhi
aangan mein lagi aag to baadal nahin barse
patthar na bana de mujhe mausam ki ye saKHti
mar jaen mere KHwab na tabir ke Dar se
dhul jata hai sab dard meri ruh ka is mein
rahmat jo barasti hai mere dida-e-tar se
tanhai-pasandi meri fitrat ka bhi juz tha
mausam bhi ye kahta hai nikalna nahin ghar se
insan koi ho to main tawiz bana lun
duniya meri bad-tar hui bhuton ke khanDar se
'pinhan' meri ghazlon ko bahut naz hai us par
tasir ki daulat jo mili dast-e-hunar se
Ghazal
Manzar hai abhi dur zara hadd-e-nazar se
Dr. Pinhaan