اردو हिंदी
Manzar-e-subh dikhane use laya na gaya | Shaahi Shayari
manzar-e-subh dikhane use laya na gaya

Ghazal

Manzar-e-subh dikhane use laya na gaya

Ahmad Mushtaq

;

manzar-e-subh dikhane use laya na gaya
aati jati rahin shamen koi aaya na gaya

raat bistar pe khule chand mein sota tha koi
main ne chaha ki jagaun to jagaya na gaya

ek muddat use dekha use chaha lekin
wo kabhi pas se guzra to bulaya na gaya

ghere rahti thi use ek jahan ki nazren
phir jo dekha to wo us aan mein paya na gaya

sar uThate hi kaDi dhup ki yalghaar hui
do qadam bhi kisi diwar ka saya na gaya

tha muqarrar ki mulaqat rahegi us se
wo to pahuncha tha magar mujh se hi aaya na gaya