manzar-e-ruKHsat-e-dildar bhulaya na gaya
dil kai roz talak rah pe laya na gaya
KHana-e-dil ki tabahi ka den ilzam kise
aap ke baad yahan koi bhi aaya na gaya
KHak taswir musawwir se banegi teri
dusra tujh sa KHuda se bhi banaya na gaya
de gaya KHub saza mujh ko koi kar ke muaf
sar jhuka aise ki ta-umr uThaya na gaya
lakh duniya ne mere sher pe di dad to kya
jis ki KHatir tha likha us ko sunaya na gaya
waqt ke sath 'sada' badle talluq kitne
tab gale milte the ab hath milaya na gaya
Ghazal
Manzar-e-ruKHsat-e-dildar bhulaya na gaya
Sada Ambalvi