manzar-e-KHema-e-shab dekhne wala hoga
wo charaghon ko bujhaega ujala hoga
sharbati aankhon mein kajal wo lagaega abhi
raat ka rang abhi aur bhi kala hoga
mujh ko Thahre hue sahil se nahin thi ummid
mujh ko bahte hue pani ne sambhaala hoga
aaj phir us ne hatheli ko chhupaya man se
aaj phir hath mein ujrat nahin chhaala hoga
zindagi palken bichha de ki baDi mushkil se
maut ne tere liye waqt nikala hoga
Ghazal
Manzar-e-KHema-e-shab dekhne wala hoga
Saleem Siddiqui