manzar-e-chashm jo pur-ab hua jata hai 
chaman-e-dil mera shadab hua jata hai 
wahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein tha 
ab jo phaila hai to sailab hua jata hai 
ek ehsas tha jo gham se daba rahta tha 
saz-e-gham ka wahi mizrab hua jata hai 
us ki palkon pe jo chamka tha sitara koi 
dekhte dekhte mahtab hua jata hai 
wo jo shirin-dahan is shahr mein aaya hai mere 
us ka bola hua shahdab hua jata hai 
mujh ko malum hai girdab-e-nazar ka dhoka 
jo bhi ahmaq hai wo betab hua jata hai
        Ghazal
Manzar-e-chashm jo pur-ab hua jata hai
Kausar Mazhari

